Lakshmi ji ki Aarti
Om Jai Lakshmi Mata, Maiya Jai Lakshmi Mata, Tumko Nisadin Sevat, Har Vishnu Vidhata
Om Jai Lakshmi Mata
Uma, Rama, Brahmani, Tum Hi Jag Mata, Surya Chandrama Dhyawat, Narad Rishi Gaata
Om Jai Lakshmi Mata
Durga Roop Niranjani, Sukh Sampatti Daata, Jo Koi Tumko Dhyawat, Riddhi Siddhi Paata
Om Jai Lakshmi Mata
Tum Paatal Niwasini, Tum Hi Shubhadata, Karma Prabhav Prakashini, Bhavanidhi Ki Traata
Om Jai Lakshmi Mata
Jis Ghar Mein Tum Rahti, Tah Sab Sadgun Aata, Sab Sambhav Ho Jaata, Man Nahi Ghabrata
Om Jai Lakshmi Mata
Tum Bin Yagya Na Howe, Vastra Na Ho Paata, Khan Pan Ka Vaibhav Sab Tumse Aata
Om Jai Lakshmi Mata
Shubh Gun Mandir Sundar, Ksheerodadhi Jaata, Ratna Chaturdash Tum Bin Koi Nahi Paata
Om Jai Lakshmi Mata
Shri Lakshmi Ji Ki Aarti, Jo Koi Nar Gaata, Ur Anand Samaata, Paap Utar Jaata
Om Jai Lakshmi Mata
Om Jai Lakshmi Mata, Maiya Jai Lakshmi Mata, Tumko Nisadin Sevat, Har Vishnu Vidhata
Om Jai Lakshmi Mata
Om Jai Jagdish Hare – Aarti
Om Jai Jagdish Hare, Swami Jai Jagdish Hare, Bhakt Jano Ke Sankat Kshan Me Dur Kare
Om Jai Jagdish Hare
Jo Dhyave Fal Paave, Dukh Vinase Manka, Sukh Sampatti Ghar Aave, Kashta Mite Tanka
Om Jai Jagdish Hare
Maat Pita Tum Mere, Sharan Gahun Kiski, Tum Bin Aur Na Duja, Aas Karu Jiski
Om Jai Jagdish Hare
Tum Puran Parmatma, Tum Antaryami, Paarbrahma Parmeshwar, Tum Sabke Swami
Om Jai Jagdish Hare
Tum Karuna Ke Sagar, Tum Paalan Karta, Main Murakh Khal Kaami, Krupa Karo Bharta
Om Jai Jagdish Hare
Tum Ho Ek Agochar, Sabke Pranpati, Kis Vidhi Milun Gosai, Tumko Main Kumti
Om Jai Jagdish Hare
Deenbandhu Dukh Harta, Tum Thakur Mere, Apne Hath Uthao, Dwaar Pada Tere
Om Jai Jagdish Hare
Vishay Vikar Mitao, Paap Haro Deva, Shraddhabhakti Badhao, Santan Ki Seva
Om Jai Jagdish Hare
Om Jai Jagdish Hare, Swami Jai Jagdish Hare, Bhakt Jano Ke Sankat Kshan Me Dur Kare
Om Jai Jagdish Hare
Jai Ganesh Deva – Ganpati Aarti
Jai Ganesh Jai Ganesh, Jai Ganesh Deva, Mata Jaki Parvati Pita Mahadeva
Jai Ganesh Jai Ganesh, Jai Ganesh Deva, Mata Jaki Parvati Pita Mahadeva,
Paan Chadhe Phool Chadhe, Aur Chadhe Meva
Laduvan Ka Bhog Lage, Sant Kare Seva
Ekdant dayavant, Char Bhuja Dhari, Mastak Sindoor Shoye, Muse Ki Sawari
Jai Ganesh Jai Ganesh, Jai Ganesh Deva, Mata Jaki Parvati Pita Mahadeva
Andhan Ko aankh Dett kodhin ko kaya, Banjhan ko Garbh dett nirdhan ko maya
Surshyaam sharan aaye safal kije Seva, Mata Jaki Parvati Pita Mahadeva
Jai Ganesh Jai Ganesh, Jai Ganesh Deva, Mata Jaki Parvati Pita Mahadeva
Jai Shiv Omkara – Shiva Aarti
Kunj Bihari ji ki Aarti
Aarti Kunj Bihari Ki
Shri Girdhar Krishna Murari Ki
Gale Mein Baijanti Mala, Bajaave Murli Madhur Bala
Shravan Mein Kundal Jhalakala, Nand Ke Anand Nandlala
Gagan Sam Ang Kaanti Kali, Radhika Chamak Rahi Aali
Latan Mein Thade Banmali,
Bhramar Si Alak, Kasturi Tilak, Chandra Si Jhalak
Lalit Chhabi Shyama Pyaari Ki,
Shri Girdhar Krishna Murari Ki
Kankamay Mor Mukat Bilase, Devta Darshan Ko Tarse
Gaganso Suman Raasi Barse,
Baje Murchang, Madhur Mirdanga, Gwaalni Sang,
Atul Rati Gop Kumari Ki
Shri Girdhar Krishna Murari Ki,
Jahan Te Prakat Bhai Ganga, Kalush Kali Haarini Shri Ganga
Smaran Te Hot Moh Bhanga,
Hare Agha Keech, Base Shiv Sheesh, Jatake Beech
Charan Chhabi Shri Banvaari Ki
Shri Girdhar Krishna Murari Ki
Chamkati Ujjwal Tat Renu, Baj Rahi Vrindavan Benu
Chahu Disi Gopi Gwaal Dhenu
Katat Bhav Fand, Hasat Mrudu Mand, Chandni Chand
Ter Sunu Deen Bhikhari Ki
Shri Girdhar Krishna Murari Ki
Aarti Kunj Bihari Ki, Shri Girdhar Krishna Murari Ki
Jai Ambe Gauri – Durga Aarti
Jai Ambe Gauri Maiya Jai Shyama Gauri
Tumko Nishi Din Dhyavat, Hari Brahma Shivri
Om Jai Ambe Gauri
Maang Sindoor Virajat Tiko Mrigmad Ko, Ujjawal Se Do Naina Chandrabadan Neeko
Om Jai Ambe Gauri
Kanak Samaan Kalevar Raktambar Raajey, Raktpushp Ki Mala Kanthan Par Saajey
Om Jai Ame Gauri
Kehari Vahan Raajat Khadag Khappar Dhari, Sur-Nar-Munijan Sevat Tinke Dukhhari
Om Jai Ambe Gauri
Kannan Kundal Shobhit Nasagre Moti, Kotik Chandra Divakar Raajat Sam Jyoti
Om Jai Ambe Gauri
Shumbh Nishumbh Vidaare Nahishasur Ghati, Dhumra Vilochan Naina Nishdin Madmaati
Om Jai Ambe Gauri
Chand-Mund Sanhaare Shonit Beej Hare, Madhu-Kaetabh Dou Mare Sur Bhayahin Kare
Om Jai Ambe Gauri
Brahmani Rudrani Tum Kamla Rani, Aagam Nigam Bakhani Tum Shiv Patrani
Om Jai Ambe Gauri
Chausat Yogini Gaavat Nritya Karat Bhairu, Baajat Taal Mridangaa Aru Baajat Damru
Om Jai Ambe Gauri
Tum Hi Jag Ki Mata Tum Hi Ho Bharta, Bhaktan Ke Dukh Harta Sukh Sampati Karta
Om Jai Ambe Gauri
Bhuja Char Ati Shobhit Varmudra Dhari, Manvanchit Phal Pavat Sevat Nar Nari
Om Jai Ambe Gauri
Kanchan Thal Virajat Agar Kapur Baati, Shrimalketu Mein Raajat Koti Ratan Jyoti
Om Jai Ambe Gauri
Ambe Maa Ki Aarti Jo Koi Nar Gaave, Kahat Shivanand Swami Sukh-Sampati Paave
Om Jai Ambe Gauri
Jai Ambe gauri Maiya Jai Shyama Gauri, Tumko Nishi Din Dhyavat Hari Brahma Shivri
Om Jai Ambe Gauri